اردو हिंदी
Maikada Shayari | Shaahi Shayari

Maikada

41 Shers

aKHir waqt hai kis munh se jaun masjid ko
tamam umr to guzri sharab-KHane mein

Hafeez Jaunpuri




mai-KHane ki samt na dekho
jaane kaun nazar aa jae

Hafeez Merathi




mai-kade mein nashsha ki ainak dikhati hai mujhe
aasman mast o zamin mast o dar-o-diwar mast

Haidar Ali Aatish




chashm-e-saqi mujhe har gam pe yaad aati hai
rasta bhul na jaun kahin maiKHane ka

Iqbal Safi Puri




koi samjhae ki kya rang hai maiKHane ka
aankh saqi ki uThe nam ho paimane ka

Iqbal Safi Puri




ahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina
bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri

Jagan Nath Azad




ye mai-KHana hai bazm-e-jam nahin hai
yahan koi kisi se kam nahin hai

Jigar Moradabadi