wafa jis se ki bewafa ho gaya
jise but banaya KHuda ho gaya
I was constant but she eschewed fidelity
the one I idolized, alas, claimed divinity
Hafeez Jalandhari
ilahi ek dil kis kis ko dun main
hazaron but hain yan hindostan hai
Haidar Ali Aatish
ut ko pujunga sanam-KHanon mein ja ja ke to main
us ke pichhe mera iman rahe ya na rahe
Haqeer
uton ko toD ke aisa KHuda banana kya
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho
Jameel Mazhari
tana-zan kufr pe hota hai abas ai zahid
but-parasti hai tere zohd-e-riya se behta
Joshish Azimabadi
jo ki sajda na kare but ko mere mashrab mein
aaqibat us ki kisi taur se mahmud nahin
Jurat Qalandar Bakhsh
ut kahte hain kya haal hai kuchh munh se to bolo
hum kahte hain sunta nahin allah hamari
Lala Madhav Ram Jauhar