us bewafa se kar ke wafa mar-miTa 'raza'
ek qissa-e-tawil ka ye iKHtisar hai
Aal-e-Raza Raza
umid un se wafa ki to KHair kya kije
jafa bhi karte nahin wo kabhi jafa ki tarah
Aatish Bahawalpuri
ye kya ki tum ne jafa se bhi hath khinch liya
meri wafaon ka kuchh to sila diya hota
Abdul Hamid Adam
e-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai
Agha Hajju Sharaf
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
Ahmad Faraz
is qadar musalsal thin shiddaten judai ki
aaj pahli bar us se main ne bewafai ki
Ahmad Faraz
kaam aa sakin na apni wafaen to kya karen
us bewafa ko bhul na jaen to kya karen
Akhtar Shirani