asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya
ghar se chale the jeb ke paise gira diye
Nashtar Khaanqahi
achcha bola dekh kar masjid aali-shan
allah tere ek ko itna baDa makan
Nida Fazli
achchon ke chhoTe hathon ko chand sitare chhune do
chaar kitaben paDh kar ye bhi hum jaise ho jaenge
let the hands of innocents reach out for stars and moon
with education they'd become like us so very soon
Nida Fazli
aDi hasrat se insan bachpane ko yaad karta hai
ye phal pak kar dobara chahta hai KHam ho jae
Nushur Wahidi
apne bachchon ko main baaton mein laga leta hun
jab bhi aawaz lagata hai khilaune wala
Rashid Rahi
kaun kahe masum hamara bachpan tha
khel mein bhi to aadha aadha aangan tha
Shariq Kaifi