har TuTe hue dil ki Dhaaras hai tera wada
juDte hain isi mai se darke hue paimane
Arzoo Lakhnavi
hosh-o-be-hoshi ki manzil ek hai raste juda
KHushk-o-tar sare jahan ka lab-ba-lab sahil mein hai
Arzoo Lakhnavi
husn o ishq ki lag mein aksar chheD udhar se hoti hai
shama ki shoala jab lahrai uD ke chala parwana bhi
Arzoo Lakhnavi
is chheD mein bante hain hoshyar bhi diwane
lahraya jahan shoala andhe hue parwane
Arzoo Lakhnavi
jawab dene ke badle wo shakl dekhte hain
ye kya hua mere chehre ko arz-e-haal ke baad
Arzoo Lakhnavi
jawab dene ke badle wo shakl dekhte hain
ye kya hua mere chehre ko arz-e-haal ke baad
Arzoo Lakhnavi
jazb-e-nigah-e-shoabada-gar dekhte rahe
duniya unhin ki thi wo jidhar dekhe rahe
Arzoo Lakhnavi