kis qadar tund bhari hai mere paimane mein 
ki chhiDak dun to lage aag abhi maiKHane mein
Wahiduddin Saleem
kis qadar tund bhari hai mere paimane mein 
ki chhiDak dun to lage aag abhi maiKHane mein
Wahiduddin Saleem
aankh mein jalwa tera dil mein teri yaad rahe 
ye mayassar ho to phir kyun koi nashad rahe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
aaghaz se zahir hota hai anjam jo hone wala hai 
andaz-e-zamana kahta hai puri ho tamanna mushkil hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
aaghaz se zahir hota hai anjam jo hone wala hai 
andaz-e-zamana kahta hai puri ho tamanna mushkil hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
abhi hote agar duniya mein 'dagh'-e-dehlawi zinda 
to wo sab ko bata dete hai 'wahshat' ki zaban kaisi
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
ai ahl-e-wafa KHak bane kaam tumhaara 
aaghaz bata deta hai anjam tumhaara
Wahshat Raza Ali Kalkatvi

