in parbaton ke bich thi mastur ek gupha
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat
Wahab Danish
in parbaton ke bich thi mastur ek gupha
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat
Wahab Danish
jangalon mein ghumte phirte hain shahron ke faqih
kya daraKHton se bhi chhin jaega aalam wajd ka
Wahab Danish
jab safar ki dhup mein murjha ke hum do pal ruke
ek tanha peD tha meri tarah jalta hua
Wahab Danish
khul gaya raaz chhupi chah ka sab mahfil par
nam le kar jo mera us se pukara na gaya
Wahab Danish
wo rang ka hujum sa wo KHushbuon ki bhiD si
wo lafz lafz se jawan wo harf harf se hasin
Wahab Danish
andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de
sukut aisa nahin hai jo kuchh sunai na de
Waheed Akhtar