milti hai gham se ruh ko ek lazzat-e-hayat
jo gham-nasib hai wo baDa KHush-nasib hai
Vafa Malikpuri
ghaTaen udi udi mai-kada bar-dosh-e-fasl-e-gul
na jaane laghzish-e-tauba se imanon pe kya guzri
Vahshi Kanpuri
shikast-e-saghar-e-dil ki sadaen sun raha hun main
zara puchho to saqi se ki paimanon pe kya guzri
Vahshi Kanpuri
shikast-e-saghar-e-dil ki sadaen sun raha hun main
zara puchho to saqi se ki paimanon pe kya guzri
Vahshi Kanpuri
hum nind ki chadar mein lipTe hue chalte hain
is bhes mein ab hum se milna ho to aa jaana
Varis Kirmani
us se yahi kahta hun wajib ehtiram-e-ishq hai
andar se ye KHwahish hai wo jaisa kahe waisa karun
Varis Kirmani
us se yahi kahta hun wajib ehtiram-e-ishq hai
andar se ye KHwahish hai wo jaisa kahe waisa karun
Varis Kirmani