koi is fasl mein diwana hua hai shayad
ki hawa hath mein zanjir liye phirti hai
Talib Ali Khaan Aishi
duniya se main ne bhi koi raghbat nahin rakhi
us ne bhi mujh se sarf-e-nazar kar liya to kya
Talib Ansari
duniya se main ne bhi koi raghbat nahin rakhi
us ne bhi mujh se sarf-e-nazar kar liya to kya
Talib Ansari
yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa
ai dost kisi roz na jaane ke liye aa
Talib Baghpati
aaj phir chand der se nikla
tum ne phir der kar di aane mein
Talib Husain Talib
aaj phir chand der se nikla
tum ne phir der kar di aane mein
Talib Husain Talib
dekh kar tum ko hairati hun main
kis qadar husn hai zamane mein
Talib Husain Talib