tujhe main apna nahin samajhta isi liye to
zamane tujh se main koi shikwa nahin karunga
Taimur Hasan
utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de
KHud apni shohrat pe rashk aae suKHan mein aisa kamal de de
Taimur Hasan
utar lafzon ka ek zaKHira ghazal ko taza KHayal de de
KHud apni shohrat pe rashk aae suKHan mein aisa kamal de de
Taimur Hasan
ye jang jit hai kis ki ye haar kis ki hai
ye faisla meri TuTi kaman se hoga
Taimur Hasan
zindagi bhar ki riyazat meri be-kar gai
ek KHayal aaya tha badle mein wo kya deta hai
Taimur Hasan
zindagi bhar ki riyazat meri be-kar gai
ek KHayal aaya tha badle mein wo kya deta hai
Taimur Hasan
zindagi jang hai aasab ki aur ye bhi suno
ishq aasab ko mazbut bana deta hai
Taimur Hasan