aasan nahin insaf ki zanjir hilana
duniya ko jahangir ka darbar na samjho
Akhtar Bastavi
arson se is mein phal nahin aae to kya hua
saya to ab bhi sehn ke kohna shajar mein hai
Akhtar Bastavi
kijiye kis kis se aaKHir na-shanasi ka gila
jab kisi ne bhi nigah-e-moatabar Dali nahin
Akhtar Bastavi
jis ne duniya bhar ke gham apnae the
us ko duniya ne kaha be-dard tha
Akhtar Feroz
ai jalti ruto gawah rahna
hum nange panw chal rahe hain
Akhtar Hoshiyarpuri
'aKHtar' guzarte lamhon ki aahaT pe yun na chaunk
is matami julus mein ek zindagi bhi hai
Akhtar Hoshiyarpuri
almari mein taswiren rakhta hun
ab bachpan aur buDhapa ek hue
Akhtar Hoshiyarpuri