lahu mein Dubi hai tariKH-e-KHilqat-e-insan
abhi ye nasl hai shaista-e-hayat kahan
Siraj Lakhnavi
na mohtasib ki KHushamad na mai-kade ka tawaf
KHudi mein mast hun apni bahaar mein gum hun
Siraj Lakhnavi
na pi sako to idhar aao ponchh dun aansu
ye tum ne sun liye is dil ke sanehat kahan
Siraj Lakhnavi
namaz-e-ishq paDhi to magar ye hosh kise
kahan kahan kiye sajde kahan qayam kiya
Siraj Lakhnavi
namaz-e-ishq paDhi to magar ye hosh kise
kahan kahan kiye sajde kahan qayam kiya
Siraj Lakhnavi
nazr-e-gham shayad har ashk-e-KHun-chakan karna paDe
kya KHabar kitni bahaaron ko KHizan karna paDe
Siraj Lakhnavi
phir bhi peshani-e-tufan pe shikan baqi hai
Dubte waqt bhi dekha na kinara hum ne
Siraj Lakhnavi