naz hai gul ko nazakat pe chaman mein ai 'zauq'
us ne dekhe hi nahin naz-o-nazakat wale
Sheikh Ibrahim Zauq
nazuk-kalamiyan meri toDen adu ka dil
main wo bala hun shishe se patthar ko toD dun
Sheikh Ibrahim Zauq
phir mujhe le chala udhar dekho
dil-e-KHana-KHarab ki baaten
Sheikh Ibrahim Zauq
phul to do din bahaar-e-jaan-faza dikhla gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae
Sheikh Ibrahim Zauq
phul to do din bahaar-e-jaan-faza dikhla gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae
Sheikh Ibrahim Zauq
pir-e-mughan ke pas wo daru hai jis se 'zauq'
namard mard mard-e-jawan-mard ho gaya
Sheikh Ibrahim Zauq
pila mai aashkara hum ko kis ki saqiya chori
KHuda se jab nahin chori to phir bande se kya chori
Sheikh Ibrahim Zauq