sham-e-gham karwaT badalta hi nahin
waqt bhi KHuddar hai tere baghai
Shakeel Badayuni
sham-e-gham karwaT badalta hi nahin
waqt bhi KHuddar hai tere baghai
Shakeel Badayuni
shaguftagi-e-dil-e-karwan ko kya samjhe
wo ek nigah jo uljhi hui bahaar mein hai
Shakeel Badayuni
'shakil' is darja mayusi shuru-e-ishq mein kaisi
abhi to aur hona hai KHarab aahista aahista
Shakeel Badayuni
sidq-o-safa-e-qalb se mahrum hai hayat
karte hain bandagi bhi jahannam ke Dar se hum
Shakeel Badayuni
sitam-nawazi-e-paiham hai ishq ki fitrat
fuzul husn pe tohmat lagai jati hai
Shakeel Badayuni
suna hai zindagi viraniyon ne luT li mil kar
na jaane zindagi ke naz-bardaron pe kya guzri
Shakeel Badayuni