saf dil hai to aa kudurat chhoD
mil har ek rang bich aab ki tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim
sahiban-e-qasr ko milti nahin hai baad-e-marg
gor mein sar ke tale takiya ki jaga ek KHisht
Shaikh Zahuruddin Hatim
sahiban-e-qasr ko milti nahin hai baad-e-marg
gor mein sar ke tale takiya ki jaga ek KHisht
Shaikh Zahuruddin Hatim
saqi mujhe KHumar satae hai la sharab
marta hun tishnagi se ai zalim pila shara
Shaikh Zahuruddin Hatim
sabr bin aur kuchh na lo hamrah
kucha-e-ishq tang hai yaro
Shaikh Zahuruddin Hatim
sabr bin aur kuchh na lo hamrah
kucha-e-ishq tang hai yaro
Shaikh Zahuruddin Hatim
samajhte hum nahin jo tum ishaaron bich kahte ho
mufassal ko to hum jaane hain ye mujmal KHuda jaane
Shaikh Zahuruddin Hatim

