KHum-KHana mai-kashon ne kiya is qadar tahi
qatra nahin raha hai jo shishe nichoDiye
Shaikh Zahuruddin Hatim
KHuban-e-jahan hon jis se tasKHir
aisa koi hum ne hunar na dekha
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis se kahun main haal-e-dil apna ki ta sune
is shahr mein raha bhi koi dard-mand hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis se kahun main haal-e-dil apna ki ta sune
is shahr mein raha bhi koi dard-mand hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis tarah pahunchun main apne yar kin punjab mein
ho gaya rahon mein chashmon se do-aba be-tarah
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis tarah se guzar karun rah-e-ishq mein
kaTe hai ab har ek qadam par zamin mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim
kis tarah se guzar karun rah-e-ishq mein
kaTe hai ab har ek qadam par zamin mujhe
Shaikh Zahuruddin Hatim

