safar-e-shauq hai bujhte hue sahraon mein
aag marham hai mere panw ke chhaalon ke liye
Shahzad Ahmad
sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism
ye ajab nind mein Dubi hui bedari hai
Shahzad Ahmad
sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism
ye ajab nind mein Dubi hui bedari hai
Shahzad Ahmad
shayad isi bais huin patthar meri aankhen
jo kuchh ki mujhe dekhna tha dekh liya hai
Shahzad Ahmad
shayad log isi raunaq ko garmi-e-mahfil kahte hain
KHud hi aag laga dete hain hum apni tanhai ko
Shahzad Ahmad
shayad log isi raunaq ko garmi-e-mahfil kahte hain
KHud hi aag laga dete hain hum apni tanhai ko
Shahzad Ahmad
shab Dhal gai aur shahr mein suraj nikal aaya
main apne charaghon ko bujhata nahin phir bhi
Shahzad Ahmad

