us ki aankhon mein mohabbat ka guman tak nahin aaj
kaun si aag thi kal jis ka dhuan tak nahin aaj
Shahnawaz Zaidi
wo mere kase mein yaaden chhoD kar yun chal diya
jis tarah alfaz jate hon muani chhoD ka
Shahnawaz Zaidi
ye sukhe patte nahin zamane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain faza mein baaten
Shahnawaz Zaidi
ye sukhe patte nahin zamane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain faza mein baaten
Shahnawaz Zaidi
hum zabt ki hadon se guzar bhi nahin gae
zinda agar nahin hain to mar bhi nahin gae
Shahnaz Noor
a-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai
wo sada-lauh hamein chahta abhi tak hai
Shahram Sarmadi
a-nam-e-ishq ek ehsan sa abhi tak hai
wo sada-lauh hamein chahta abhi tak hai
Shahram Sarmadi

