meri KHamoshiyon par duniya mujh ko tan deti hai
ye kya jaane ki chup rah kar bhi ki jati hain taqriren
Seemab Akbarabadi
mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par
sitaron ki chamak se choT lagti hai rag-e-jaan pa
Seemab Akbarabadi
nashat-e-husn ho josh-e-wafa ho ya gham-e-ishq
hamare dil mein jo aae wo aarzu ho jae
Seemab Akbarabadi
pareshan hone walon ko sukun kuchh mil bhi jata hai
pareshan karne walon ki pareshani nahin jati
Seemab Akbarabadi
pareshan hone walon ko sukun kuchh mil bhi jata hai
pareshan karne walon ki pareshani nahin jati
Seemab Akbarabadi
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
Seemab Akbarabadi
ang bharte hain wafa ka jo tasawwur mein tere
tujh se achchhi teri taswir bana lete hain
Seemab Akbarabadi

