ahut musir the KHudayan-e-sabit-o-sayyar
so main ne aaina o aasman pasand kiye
Sarvat Husain
ujhi ruh ki pyas lekin saKHi
mere sath mera badan bhi to hai
Sarvat Husain
dasht chhoDa to kya mila 'sarwat'
ghar badalne ke baad kya hoga
Sarvat Husain
do hi chizen is dharti mein dekhne wali hain
miTTi ki sundarta dekho aur mujhe dekho
Sarvat Husain
do hi chizen is dharti mein dekhne wali hain
miTTi ki sundarta dekho aur mujhe dekho
Sarvat Husain
husn-e-bahaar mujh ko mukammal nahin laga
main ne tarash li hai KHizan apne hath se
Sarvat Husain
ek dastan ab bhi sunate hain farsh o baam
wo kaun thi jo raqs ke aalam mein mar gai
Sarvat Husain

