shayad wo sang-dil ho kabhi mail-e-karam
surat na de yaqin ki is ehtimal ko
Sahba Akhtar
subut mang rahe hain meri tabahi ka
mujhe tabah kiya jin ki kaj-adai ne
Sahba Akhtar
tum ne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya
chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnam kiya
Sahba Akhtar
karwan ke chalne se karwan ke rukne tak
manzilen nahin yaro raste badalte hain
Sahba lakhnavi
karwan ke chalne se karwan ke rukne tak
manzilen nahin yaro raste badalte hain
Sahba lakhnavi
kitne dip bujhte hain kitne jalte hain
azm-e-zindagi le kar phir bhi log chalte hain
Sahba lakhnavi
mauj mauj tufan hai mauj mauj sahil hai
kitne Dub jate hain kitne bach nikalte hain
Sahba lakhnavi

