nashsha-e-yar ka nasha mat puchh
aisi masti kahan sharabon mein
Razi Raziuddin
qalb-o-jigar ke dagh farozan kiye hue
hain hum bhi ehtimam-e-bahaaran kiye hue
Razi Raziuddin
tamam raat tera intizar hota raha
ye ek kaam yahi karobar hota raha
Razi Raziuddin
tamam raat tera intizar hota raha
ye ek kaam yahi karobar hota raha
Razi Raziuddin
tum na the to yahan pe koi na tha
aaj kitne diwane baiThe hain
Razi Raziuddin
tumhaare shahr mein kyun aaj hu ka aalam hai
saba idhar se guzar kar udhar gai ki nahin
Razi Raziuddin
us ka jalwa dikhai deta hai
sare chehron pe sab kitabon mein
Razi Raziuddin

