ijazat kam thi jine ki magar mohlat ziyaada thi
hamare pas marne ke liye fursat ziyaada thi
Rajesh Reddy
jitni baTni thi baT chuki ye zamin
ab to bas aasman baqi hai
Rajesh Reddy
justuju ka ek ajab silsila ta-umr raha
KHud ko khona tha kahin aur kahin DhunDhna tha
Rajesh Reddy
kaun paDhta hai yahan khol ke ab dil ki kitab
ab to chehre ko hi aKHbar kiya jaana hai
Rajesh Reddy
kis ne paya sukun duniya mein
zindagani ka samna kar ke
Rajesh Reddy
kisi din zindagani mein karishma kyun nahin hota
main har din jag to jata hun zinda kyun nahin hota
Rajesh Reddy
kiya ijad jis ne bhi KHuda ko
wo KHud ko kaise bahlata tha pahle
Rajesh Reddy

