na nind aankhon mein baqi na intizar raha
ye haal tha to koi nek kaam kya karte
Rais Siddiqui
tere suluk ka gham subh-o-sham kya karte
zara si baat pe jina haram kya karte
Rais Siddiqui
milne ko yun to milte the kuchh log roz hi
lekin dilon ke bich mein parda zarur tha
Raj Kheti
ab hai dua ye apni har sham har sahar ko
ya wo badan se lipTe ya jaan tan se nikle
Rajab Ali Beg Suroor
dam-e-takfin bhi gar yar aawe
to niklen hath bahar ye kafan se
Rajab Ali Beg Suroor
dam-e-takfin bhi gar yar aawe
to niklen hath bahar ye kafan se
Rajab Ali Beg Suroor
kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-KHu
jo bhala ho aap se us se burai kijiye
Rajab Ali Beg Suroor

