ye hawa kaise uDa le gai aanchal mera
yun satane ki to aadat mere ghanshyam ki thi
Parveen Shakir
ye kya ki wo jab chahe mujhe chhin le mujh se
apne liye wo shaKHs taDapta bhi to dekhun
Parveen Shakir
yun bichhaDna bhi bahut aasan na tha us se magar
jate jate us ka wo muD kar dobara dekhna
Parveen Shakir
yun dekhna us ko ki koi aur na dekhe
inam to achchha tha magar shart kaDi thi
Parveen Shakir
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein raha karti hai
Parveen Shakir
zulm sahna bhi to zalim ki himayat Thahra
KHamushi bhi to hui pusht-panahi ki tarah
Parveen Shakir
aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa
us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui
Parveen Umm-e-Mushtaq

