meri talab tha ek shaKHs wo jo nahin mila to phir
hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi
Parveen Shakir
mumkina faislon mein ek hijr ka faisla bhi tha
hum ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
Parveen Shakir
na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai
ki jo bhi Thahra wo aaKHir makan chhoD gaya
Parveen Shakir
nahin nahin ye KHabar dushmanon ne di hogi
wo aae aa ke chale bhi gae mile bhi nahin
Parveen Shakir
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun
Parveen Shakir
pas jab tak wo rahe dard thama rahta hai
phailta jata hai phir aankh ke kajal ki tarah
Parveen Shakir
qadmon mein bhi takan thi ghar bhi qarib tha
par kya karen ki ab ke safar hi ajib tha
Parveen Shakir

