wo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi
ki dhup chhanw ka aalam raha judai na thi
Naseer Turabi
ye hawa sare charaghon ko uDa le jaegi
raat Dhalne tak yahan sab kuchh dhuan ho jaega
Naseer Turabi
ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna
is rah mein sar milte hain patthar nahin milta
Naseer Turabi
jaane kab kaun se lamhe mein zarurat paD jae
tum hamare liye pahle se dua kar rakhna
Nashir Naqvi
safar ka KHatma hota nahin kahin apna
har ek paDaw se ek ibtida nikalti hai
Nashir Naqvi
us ke karam ka ek sahaara jo mil gaya
phir umr bhar kisi ki zarurat nahin hui
Nashir Naqvi
wafa ki rah mein dil ka sipas rakh dunga
main har nadi ke kinare pe pyas rakh dunga
Nashir Naqvi

