dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga
mera haal likhne ke qabil nahin hai agar mil gae to zabani kahunga
Muztar Khairabadi
dekh kar kabe ko KHali main ye kah kar aa gaya
aise ghar ko kya karunga jis ke andar tu nahin
Muztar Khairabadi
dhoke se bula kar jo mila tha to wo mujh se
jab milte hain kahte hain daghabaz kahin ka
Muztar Khairabadi
dil kaam ka nahin to na lo jaan nazr hai
itni zara si baat pe jhagDa na chahiye
Muztar Khairabadi
dil ko main apne pas kyun rakkhun
tu hi le ja agar ye tera hai
Muztar Khairabadi
dil kya kare jo raaz mohabbat ka khul gaya
main kya karun ki ishq hi ek namwar se hai
Muztar Khairabadi
dil un ko muft dene mein dushman ko rashk kyun
hum apna mal dete hain is mein kisi ka kya
Muztar Khairabadi

