ye dil kuchh aaphi ho jata hai band aur aaphi khulta hai
na main qaid is ko karta hun na main aazad karta hun
Meer Hasan
zat gar pochhiye aadam ki to hai ek wahi
lakh yun kahne ko Thahraiye zaten dil mein
Meer Hasan
zulm kab tak kijiyega is dil-e-nashad par
ab to is bande pe Tuk kije karam banda-nawaz
Meer Hasan
chashm-e-baatin mein se jab zahir ka parda uTh gaya
jo musalman tha wahi hindu nazar aaya mujhe
Meer Kallu Arsh
gale mein apne pahna hai jo tu ne ai but-e-kafir
meri tasbih ko hai rashk zunnar-e-barahman pa
Meer Kallu Arsh
kaba ka aur KHana-e-dil ka ye haal hai
jaise koi makan ho makan ke jawab mein
Meer Kallu Arsh
kya diya bosa lab-e-shirin ka ho kar tursh-ru
munh hua miTha to kya dil apna khaTTa ho gaya
Meer Kallu Arsh

