us zulf pe phabti shab-e-dijur ki sujhi
andhe ko andhere mein baDi dur ki sujhi
Jurat Qalandar Bakhsh
wan se aaya hai jawab-e-KHat koi suniyo to zara
main nahin hun aap main mujh se na samjha jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
wah main aur na aane ko kahunga tauba
main to hairan hun ye baat aap ne farmai kya
Jurat Qalandar Bakhsh
warasta kar diya jise ulfat ne bas wo shaKHs
kab dam-e-kufr o rishta-e-islam mein phansa
Jurat Qalandar Bakhsh
yan zist ka KHatra nahin han khinchiye talwar
wo ghair tha jo dekh ke samsam Dare tha
Jurat Qalandar Bakhsh
yaad kya aata hai wo mera lage jaana aur aah
pichhe haT kar us ka ye kahna koi aa jaega
Jurat Qalandar Bakhsh
ye aag laga di ki nahin anjum-o-aflak
ye dagh pe hai dagh ye chhaale pe hai chhaala
Jurat Qalandar Bakhsh

