phul afsurda bulbulen KHamosh
fasl gul aai hai KHizan-bar-dosh
Hafeez Banarasi
sabhi ke dip sundar hain hamare kya tumhaare kya
ujala har taraf hai is kinare us kinare kya
Hafeez Banarasi
samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum
hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai
Hafeez Banarasi
tadbir ke dast-e-rangin se taqdir daraKHshan hoti hai
qudrat bhi madad farmati hai jab koshish-e-insan hoti hai
Hafeez Banarasi
us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main
mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya
Hafeez Banarasi
us se baDh kar kiya milega aur inam-e-junun
ab to wo bhi kah rahe hain apna diwana mujhe
Hafeez Banarasi
wafa nazar nahin aati kahin zamane mein
wafa ka zikr kitabon mein dekh lete hain
Hafeez Banarasi

