hindu se puchhiye na musalman se puchhiye
insaniyat ka gham kisi insan se puchhiye
Abu Mohammad Sahar
hosh-mandi se jahan baat na banti ho 'sahar'
kaam aise mein bahut be-KHabari aati hai
Abu Mohammad Sahar
ishq ke mazmun the jin mein wo risale kya hue
ai kitab-e-zindagi tere hawale kya hue
Abu Mohammad Sahar
ishq ko husn ke atwar se kya nisbat hai
wo hamein bhul gae hum to unhen yaad karen
Abu Mohammad Sahar
marzi KHuda ki kya hai koi jaanta nahin
kya chahti hai KHalq-e-KHuda hum se puchhiye
Abu Mohammad Sahar
phir khule ibtida-e-ishq ke bab
us ne phir muskura ke dekh liya
Abu Mohammad Sahar
ah-e-ishq-o-wafa bhi kucha-o-bazar ho jaise
kabhi jo ho nahin pata wo sauda yaad aata hai
Abu Mohammad Sahar