dariya-e-mohabbat se 'muhib' le hi ke chhoDi
mujh ashk ne aaKHir dur-e-nayab ki miras
Waliullah Muhib
dars-e-ilm-e-ishq se waqif nahin mutlaq faqih
nahw hi mein mahw hai ya sarf hi mein sarf hai
Waliullah Muhib
din se paida kufr hai aur nur shakl-e-nar hai
rishta jab subhe se nikla surat-e-zunnar hai
Waliullah Muhib
diwangi ke silsila ka hoe jo murid
us gesu-e-daraaz siwa pir hi nahin
Waliullah Muhib
dilon ka farsh hai wan panw rakhne ki kahan jagah
guzarta hai tere kuche se pahle hi qadam sar se
Waliullah Muhib
dosti chhuTe chhuDae se kisu ke kis tarah
band hota hi nahin rasta dilon ki rah ka
Waliullah Muhib