is se pahle ki ye aazar gawara kar len
aa meri jaan mohabbat se kinara kar len
Vipul Kumar
ab ke masrufiyat-e-ishq bahut hai hum ko
tum chale jao to fursat se guzara kar len
Vipul Kumar
ek lamha-e-firaq pe wara gaya mujhe
kaisi hasin sham mein mara gaya mujhe
Vipul Kumar
ek din teri gali mein mujhe le gai hawa
aur phir tamam umr mujhe DhunDhti rahi
Vipul Kumar
har mulaqat pe sine se lagane wale
kitne pyare hain mujhe chhoD ke jaane wale
Vipul Kumar
hamin ne hashr uTha rakkha hai bichhaDne par
wo jaan-e-jaan to pareshan bhi ziyaada nahin
Vipul Kumar
dilon pe dard ka imkan bhi ziyaada nahin
wo sabr hai abhi nuqsan bhi ziyaada nahin
Vipul Kumar
dil bhi ajib KHana-e-wahdat-pasand tha
is ghar mein ya to tu raha ya be-dili rahi
Vipul Kumar
adan mein aag hai roghan mere KHayal mein hai
juda hi rah abhi KHatra bahut visal mein hai
Vipul Kumar