arson pahle jis dariya mein utra tha
ab tak us ki gahrai hai aankhon mein
Tahir Azeem
in baaton par mat jaana jo aam huin
dekho kitni sachchai hai aankhon mein
Tahir Azeem
jo bahut be-qarar rakhte the
han wahi to qarar ke din the
Tahir Azeem
jo tere intizar mein guzre
bas wahi intizar ke din the
Tahir Azeem
main tere hijr ki giraft mein hun
ek sahra hai mubtala mujh mein
Tahir Azeem
main tere hijr mein jo zinda hun
sochta hun visal se aage
Tahir Azeem
mujh ko bhi haq hai zindagani ka
main bhi kirdar hun kahani ka
Tahir Azeem
ahta hai zehn o dil mein jo ehsas ki tarah
us ka koi pata bhi zaruri nahin ki ho
Tahir Azeem
shahr ki is bhiD mein chal to raha hun
zehn mein par ganw ka naqsha rakha hai
Tahir Azeem