masala KHatm hua chahta hai
dil bas ab zaKHm naya chahta hai
Shakeel Jamali
main ne hathon se bujhai hai dahakti hui aag
apne bachche ke khilaune ko bachane ke liye
Shakeel Jamali
log kahte hain ki is khel mein sar jate hain
ishq mein itna KHasara hai to ghar jate hain
Shakeel Jamali
abhi raushan hua jata hai rasta
wo dekho ek aurat aa rahi hai
Shakeel Jamali
koi school ki ghanTi baja de
ye bachcha muskurana chahta hai
Shakeel Jamali
kin zaminon pe utaroge imdad ka qahr
kaun sa shahr ujaDoge basane ke liye
Shakeel Jamali
jhuT mein shak ki kam gunjaish ho sakti hai
sach ko jab chaho jhuThlaya ja sakta hai
Shakeel Jamali
ek bimar wasiyyat karne wala hai
rishte-nate jibh nikale baiThe hain
Shakeel Jamali
ek bimar wasiyat karne wala hai
rishte nate jibh nikale baiThe hain
Shakeel Jamali

