mai-KHane ki baat na kar waiz mujh se
aana jaana tera bhi hai mera bhi
Shahid Kabir
paya nahin wo jo kho raha hun
taqdir ko apni ro raha hun
Shahid Kabir
shahr mein galiyon galiyon jis ka charcha hai
wo afsana tera bhi hai mera bhi
Shahid Kabir
tabah kar gai pakke makan ki KHwahish
main apne ganw ke kachche makan se bhi gaya
Shahid Kabir
tera kucha tera dar teri gali kafi hai
be-Thikanon ko Thikane ki zarurat kya hai
Shahid Kabir
wo bhi dharti pe utari hui maKHluq hi hai
jis ka kaTa hua insan na pani mange
Shahid Kabir
zindagi ek aansuon ka jam tha
pi gae kuchh aur kuchh chhalka gae
life was a cup of teardrops unallayed
some were drunk and some were idly sprayed
Shahid Kabir