labon mein aa ke qulfi ho gae ashaar sardi mein
ghazal kahna bhi ab to ho gaya dushwar sardi mein
Sarfaraz Shahid
murgh par fauran jhapaT dawat mein warna baad mein
shorba aur gardanon ki haDDiyan rah jaengi
Sarfaraz Shahid
aaz-o-niyaz mein bhi akaD-fun nahin gai
wo KHat bhi likh raha hai to chaalan ki tarah
Sarfaraz Shahid
sare shikwe dur ho jaen jo qudarat saunp de
meri danai tujhe aur teri nadani mujhe
Sarfaraz Shahid
'shahid'-sahib kahlate hain mister bhi maulana bhi
hazrat do kirdaron wale hera-pheri karte hain
Sarfaraz Shahid
specialist pain-killer de to kaun sa?
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
Sarfaraz Shahid
surur-e-jaan-faza deti hai aaghosh-e-watan sab ko
ki jaise bhi hon bachche man ko pyare ek jaise hain
Sarfaraz Shahid