juz hamare kaun aaKHir dekhta is kaam ko
ruh ke andar koi kar-e-badan hota hua
Salim Saleem
aa raha hoga wo daman se hawa bandhe hue
aaj KHushbu ko pareshan kiya jaega
Salim Saleem
ek barf si jami rahe diwar-o-baam par
ek aag mere kamre ke andar lagi rahe
Salim Saleem
hijr ke din to hue KHatm baDi dhum ke sath
wasl ki raat hai kyun marsiya-KHwani karen hum
Salim Saleem
chaTaKH ke TuT gai hai to ban gai aawaz
jo mere sine mein ek roz KHamushi hui thi
Salim Saleem
charagh-e-ishq badan se laga tha kuchh aisa
main bujh ke rah gaya us ko hawa banane mein
Salim Saleem
ujha rakhe hain ye kis ne sabhi charagh-e-hawas
zara sa jhank ke dekhen kahin hawa hi na ho
Salim Saleem
hare bazar mein baiTha hun liye jins-e-wajud
shart ye hai ki meri KHak ki qimat di jae
Salim Saleem
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
Salim Saleem