shikasta-pai se hoti hain bastiyan aabaad
jo ab qabila hua pahle qafila hoga
Sagheer Malal
tajjub un ko hai kyun meri KHud-kalami par
har aadmi ka koi raaz-dan zaruri hai
Sagheer Malal
tamam wahm o guman hai to hum bhi dhoka hain
isi KHayal se duniya ko main ne pyar kiya
Sagheer Malal
tere bare mein agar KHamosh hun main aaj tak
phir tere haq mein kisi ka faisla kaise hua
Sagheer Malal
un se bachna ki bichhate hain panahen pahle
phir yahi log kahin ka nahin rahne dete
Sagheer Malal
zamane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se
akele-pan mein use hum bhi kya nahin kahte
Sagheer Malal
zarurat us ki hamein hai magar ye dhyan rahe
kahan wo ghair-zaruri kahan zaruri hai
Sagheer Malal