aadal aae hain ghir gulal ke lal
kuchh kisi ka nahin kisi ko KHayal
Rangin Saadat Yaar Khan
garm in rozon mein kuchh ishq ka bazar nahin
bechta dil ko hun main koi KHaridar nahin
Rangin Saadat Yaar Khan
hai ye duniya ja-e-ibrat KHak se insan ki
ban gae kitne subu kitne hi paimane hue
Rangin Saadat Yaar Khan
jhuTa kabhi na jhuTa howe
jhuTe ke aage sachcha rowe
Rangin Saadat Yaar Khan
mana karte ho abas yaro aaj
us ke ghar jaenge par jaenge hum
Rangin Saadat Yaar Khan
pa-bos-e-yar ki hamein hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamare mazar pa
Rangin Saadat Yaar Khan
ta hashr rahe ye dagh dil ka
ya-rab na bujhe charagh dil ka
Rangin Saadat Yaar Khan
tha jahan mai-KHana barpa us jagah masjid bani
TuT kar masjid ko phir dekha to but-KHane hue
Rangin Saadat Yaar Khan
wo na aae to tu hi chal 'rangin'
is mein kya teri shan jati hai
Rangin Saadat Yaar Khan