KHak ho kar hi hum pahunch jate
us taraf ki magar hawa bhi nahin
Nooh Narvi
koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin
Nooh Narvi
kuchh aur ban paDi na sawal-e-visal par
hairat se dekh kar wo mere munh ko rah gae
Nooh Narvi
laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad
ab rah gae hain aashiq o mashuq mein hum aap
Nooh Narvi
majra-e-qais mere zehn mein mahfuz hai
ek diwane se suniye ek diwane ka haal
Nooh Narvi
mahfil mein teri aa ke ye be-abru hue
pahle the aap aap se tum tum se tu hue
Nooh Narvi
main koi haal-e-sitam munh se kahun ya na kahun
ai sitamgar tere andaz kahe dete hain
Nooh Narvi
mausam-e-gul abhi nahin aaya
chal diye ghar mein hum laga kar aag
Nooh Narvi
mazhab-e-ishq-o-wafa mujh ko ye deta hai salah
tu jo kafir nahin hota to musalman bhi na ho
Nooh Narvi

