ab hawaon ke dam khulne hain
KHushbuon ka to ho chuka sauda
Navin C. Chaturvedi
aghair puchhe mere sar mein bhar diya mazhab
main rokta bhi to kaise ki main to bachcha tha
Navin C. Chaturvedi
aiThe-baiThe ka safar sirf hai KHwabon ka futur
jism darwaze tak aae to gali tak pahunche
Navin C. Chaturvedi
hula diya hai jo tu ne to kuchh malal nahin
kai dinon se mujhe bhi tera KHayal nahin
Navin C. Chaturvedi
hum to us ke zehn ki uryaniyon par mar miTe
dad agarche de rahe hain jism aur poshak pa
Navin C. Chaturvedi
kis ko fursat hai jo harfon ki hararat samjhae
baat aasani tak aae to sabhi tak pahunche
Navin C. Chaturvedi
kuchh bhanwar yun uchaT paDe the jyun
KHud-kushi par ho koi aamada
Navin C. Chaturvedi
mera saya mere bas mein nahin hai
magar duniya pe dawa kar raha hun
Navin C. Chaturvedi
nae safar ka har ek moD bhi naya tha magar
har ek moD pe koi sadaen deta tha
Navin C. Chaturvedi