aasmanon se zaminon pe jawab aaega
ek din raat Dhale yaum-e-hisab aaega
Najeeb Ahmad
hum to samjhe the ki chaaron dar muqaffal ho chuke
kya KHabar thi ek darwaza khula rah jaega
Najeeb Ahmad
ek teri yaad gale aise paDi hai ki 'najib'
aaj ka kaam bhi hum kal pe uTha rakhte hain
Najeeb Ahmad
is daera-e-raushni-o-rang se aage
kya jaaniye kis haal mein basti ke makin hain
Najeeb Ahmad
KHema-e-jaan ki tanabon ko ukhaD jaana tha
hum se ek roz tera gham bhi bichhaD jaana tha
Najeeb Ahmad
kis ne wafa ke nam pe dhoka diya mujhe
kis se kahun ki mera gunahgar kaun hai
Najeeb Ahmad
maut se zist ki takmil nahin ho sakti
raushni KHak mein tahlil nahin ho sakti
Najeeb Ahmad
meri numud kisi jism ki talash mein hai
main raushni hun andheron mein chal raha hun abhi
Najeeb Ahmad
meri zamin mujhe aaghosh mein sameT bhi le
na aasman ka rahun main na aasman mera
Najeeb Ahmad