sans leta hun ki pat-jhaD si lagi hai mujh mein
waqt se TuT rahe hain mere bandhan jaise
Muzaffar Warsi
tu chale sath to aahaT bhi na aae apni
darmiyan hum bhi na hon yun tujhe tanha chahen
when you walk with me the echo, of my steps should not intrude
I too should not be the between us, I want you in such solitude
Muzaffar Warsi
wada muawze ka na karta agar KHuda
KHairaat bhi saKHi se na milti faqir ko
Muzaffar Warsi
zaKHm-e-tanhai mein KHushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
Muzaffar Warsi
zindagi tujh se har ek sans pe samjhauta karun
shauq jine ka hai mujh ko magar itna bhi nahin
Muzaffar Warsi