satana qatl karna phir jalana
wo be-talim kya kya jaante hain
Munawar Khan Ghafil
parwane ke huzur jalaya na shama ko
bulbul ke aage phul na toDa gulab ka
Munawar Khan Ghafil
nikla na dagh-e-dil se hamara to koi kaam
na wo charagh-e-dair na sham-e-haram hua
Munawar Khan Ghafil
martaba mashuq ka aashiq se baala-dast hai
KHar ki ja zer-e-pa gul ka makan dastar pa
Munawar Khan Ghafil
lutf tab amard-parasti ka hai bagh-e-KHuld mein
pas baiThe jabki ghilman aur khaDi ho hur du
Munawar Khan Ghafil
lailatul-qadr hai har shab use har roz hai id
jis ne mai-KHane mein mah-e-ramazan dekha hai
Munawar Khan Ghafil
kya KHabar hai hum se mahjuron ki un ko roz-e-id
jo gale mil kar baham sarf-e-mubarakbaad hain
Munawar Khan Ghafil
aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad
na rahi dasht mein KHali meri ja mere baad
Munawar Khan Ghafil
KHat-nawesi ye hai to mushtaqo
hath ek din qalam tumhaare hain
Munawar Khan Ghafil

