kaun dariya-e-mohabbat se utar sakta hai par
kashti-e-farhad aaKHir koh se Takra gai
Munawar Khan Ghafil
ji mein aata hai mai-kashi kije
tak kar koi saya-dar daraKHt
Munawar Khan Ghafil
islam ka subut hai ai shaiKH kufr se
tasbih TuT jae jo zunnar TuT jae
Munawar Khan Ghafil
ek bosa mangta hun main KHairaat-e-husn ki
do mal ki zakat ki daulat ziyaada ho
Munawar Khan Ghafil
haqq-e-mehnat un gharibon ka samajhte gar amir
apne rahne ka makan de Dalte mazdur ko
Munawar Khan Ghafil
gulshan-e-ishq ka tamasha dekh
sar-e-mansur phal hai dar daraKHt
Munawar Khan Ghafil
fariyaad ki aati hai sada sine se har dam
mera dil-e-nalan hai ki angrezi ghaDi hai
Munawar Khan Ghafil
dushman ke kaam karne laga ab to dost bhi
tu ai raqib darpai-e-azar hai abas
Munawar Khan Ghafil
arson KHayal-e-yar raha kuchh khicha khicha
ek dam mera jo aur taraf dhyan baT gaya
Munawar Khan Ghafil