hote hote na hua misra-e-rangin mauzun
band kyun ho gaya KHun-e-jigar aate aate
Mirza Maseeta Beg Muntahi
jala kar zahidon ko mai-kashon ko shad karte hain
gira kar masjidon ko mai-kade aabaad karte hain
Mirza Maseeta Beg Muntahi
jidhar ko meri chashm-e-tar jaegi
udhar kaam dariya ka kar jaegi
Mirza Maseeta Beg Muntahi
jis qadar wo mujh se bigDa main bhi bigDa us qadar
wo hua jame se bahar main bhi nanga ho gaya
Mirza Maseeta Beg Muntahi
jise zauq-e-baada-parasti nahin hai
mere samne us ki hasti nahin hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
kaba-o-dair ek samajhte hain rind-e-pak
paband ye nahin hain haram-o-halal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
kabhi haram mein kabhi but-kade ko jata hun
zamin DhunDh raha hun mazar ke qabil
Mirza Maseeta Beg Muntahi