umuz-e-ishq-o-mohabbat se aashna hun main
kisi ko gham-zada dekha to ro diya hun main
Matin Niazi
hum to aashufta-sari se na sanwarne pae
aap se kyun na sanwara gaya gesu apna
Matin Niazi
ho na jab tak 'matin' kaif-e-gham
aadmi ko KHuda nahin milta
Matin Niazi
husn ki be-ruKHi ko ahl-e-nazar
hasil-e-iltifat kahte hain
Matin Niazi
kabhi kabhi to mohabbat ki zindagi ke liye
KHud un ko hum ne ubhaara hai barhami ke liye
Matin Niazi
KHuda mahfuz rakkhe intishaar-e-rahnumai se
isi manzil pe aa ke aadmi diwana hota hai
Matin Niazi
'matin' un ka karam waqai karam hai to phir
ye be-ruKHi ye taghaful ye barhami kya hai
Matin Niazi
yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi
ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai
Matin Niazi
zindagi ki bhi yaqinan koi manzil hogi
ye safar hi ki tarah ek safar hai ki nahin
Matin Niazi

