agarche kahne ko kal kaenat apni thi
haqiqatan kahan apni bhi zat apni thi
Masooda Hayat
ek KHushbu si ubharti hai nafas se mere
ho na ho aaj koi aan basa hai mujh mein
Masooda Hayat
ghar se jo shaKHs bhi nikle wo sambhal kar nikle
jaane kis moD pe kis hath mein KHanjar nikle
Masooda Hayat
hazar dard sameTe hue hun ek dil mein
bikhar gai jo meri dastan to kya hoga
Masooda Hayat
hazar shauq numayan the jis nazar se kabhi
wahi nigah baDi ajnabi si lagti hai
Masooda Hayat
KHushbu si koi aae to lagta hai ki tum ho
shisha kahin Takrae to lagta hai ki tum ho
Masooda Hayat
kis se shikwa karen virani-e-hasti ka 'hayat'
hum ne KHud apni tamannaon ko jine na diya
Masooda Hayat
kya gharaz hum ko wahan ab koi bhi aabaad ho
hum to us basti se ghar apna uTha kar le gae
Masooda Hayat
tamam umr bhaTakte rahe jo rahon mein
dikha rahe hain wahi aaj rasta mujh ko
Masooda Hayat